Thursday, June 09, 2005

Engineering ke woh din....

Yeh degree bhi lelo ye naukari bhi lelo,

Bhale Chheen lo mujhse USA ka Visa...........

magar mujhko lauta do college ka canteen,

vo chaay ka paani vo teeKha samosaa..........

kadi dhoop mein apne ghar se nikalnaa,

vo project ki Khatir shahar bhar bhataknaa,

vo lecture mein doston ki proxy lagaanaa,

vo sir ko chidhanaa ,vo aeroplane udaanaa,

vo submission ki raton ko jagnaa jagaanaa,

vo orals ki kahani vo practical ka Kissaa.....

bimaari ka reason de ke time badhanaa,

vo doosron ke assignments ko apnaa banaanaa,

vo seminar ke din paironka chhatpatanaa,

vo workshop mein din raat pasinaa bahanaa,

vo exam ke din ka bechain maahaul,

par vo maa ka vishvas - Teachar ka Bharosaa.....

vo pedon ke neeche gappe ladanaa,

vo raaton mein drawing sheets banaanaa,

vo exams ke akhari din theatre mein jaanaa,

vo bhole se freshers ko hamesha sataanaa,

without any reason common off pe jaanaa,

test ke waqt table mein kitabon ko rakhnaa,

isi tarah teachers ko dena Jhansaa........

college ki sabse purani nishaanee,

vo chaaywala jise saare kehte the... jaani,

vo jaani ke hathon ki 'cutting' chaay meethee,

vo chupkese journal mein bheji hui chitthi,

vo padh tehi chiththi uska bhadakna,

vo chehre ki laali vo aankhon ka Gussaa.....

college ki wo saari lambisi raatein,

vo doston se canteen mein pyaari si baatein,

vo gathering ke din ka ladnaa Jhagadnaa,

vo ladkiyon ka yuhin hamesha akadnaa,

bhulaaye nahin bhool sakta hai koi,

vo college, vo batein, vo shararatein vo javani...

kaash hum phir dohra sakte kahani......

cheen li MS ne meri jawaani

....kaash hum phir dohra sakte kahani

vo kagaz ki kashti vo barish ka pani!!!

No comments: