Hum haste hain to woh samajhte hain ki inhe aadat hai muskurane ki
Hum haste hain to woh samajhte hain ki inhe aadat hai muskurane ki
Lekin woh nadaan kya samjhe ki yeh bhi ek aada hai gham chupane ki
Unko kya sazaa du jisne mohabbat mein hamara dil tod diya
Unko kya sazaa du jisne mohabbat mein hamara dil tod diya
Galti hameinse hui jo hamnein unki baaton ko mohobbat samajh liya
Lehar aati hai aur kinare se palat jati hai,
Yaad aati hai aur dil mein simat jati hai.
Lehar aur yaad mein sirf yahi farak hai ki
Lehar bewaqt aati hai aur yaad har waqt aati hai.
Humne teri yaad mein ro ro ke cigarette jala di
Humne teri yaad mein ro ro ke cigarette jala di
Aur kambakht dhuene bhi teri tasveer bana di!!
Peeta tha mai sharab, usne apni kasam de kar chooda di
Mehfil mai baitha, to dosto ne uski kasam de kar pila di.
Dosti ki hai to nibhani to padegi,
Aapki takleif hame bataani to padegi.
Aapki takleif na jaan sake to dosti kis kaam ki
Apke liye mar na sake to zindagi kis kaam ki
Inkaar kiye hai aksar, darr hai ikraar na ho jaye
Itna bhi na chaho hame kahi tumse pyaar na ho jaye..
Naa mohabbat ke liye naa dosti ke liye,
Waqt rukta nahi kisi ke liye
Har koi pyar chahta hai yaha apni tanha si zindagi ke liye
Waqt rukta nahi kisi ke liye.
Jeene ke liye tera armaan hi kafi hai
Dil ki kalam se likhi ye dastaan hi kaafi hai.
Teer ki kya zaroorat hai,
qatl karne ke liye teri ek muskaan hi kafi hai
Kisi ko mohabbat ki sachaii maar dalegi
Kisi ko mohabbat ki gehrai maar dalegi
Mohobbat karke koi nahi bacha yaha par
Jo bach gaya use tanhai maar dalegi.
Zindagi mein do hi lamhe takleif mein guzre
Ek aapke mulaaqat pe aane se pehle
Aur ek aapke jaane ke baad
Har phool khusbudaar nahi hota
Har pathar chamakdar nahi hota
Dosti karte waqt dekhkar karna dost
Kyunki har dost mere jaisa nahi hota
Jab bhi kisi ko kareeb paya hai
Kasam khuda ki wahi dhoka khaya hai.
Kyun dosh dete ho katon ko
Yeh zakhm to humne phoolon se khaya hai.
Hamare jeene marne mein koi fark ho to batao
Jise dekhkar jeete hai usiko dekhkar dum nikalta hai.
Ye zindagi bhi kaisi zindgaani hai
Chaand pe rehkar bhi chaandni na hui hamari
hazaro diye banaye phir bhi roshni na hui hamari.
Har vaade ko izhaar nahi samajhte
Har khamoshi ko inkaar nahi samajhte
Yeh nahi milti hai hazaro nazro se
Har nazar ko pyar nahi samajhte
Har karz dosti ka ada kaun karega
Jab hum hi nahi rahenge to dosti kaun karega
Aey khuda mere doston ko salamat rakhna
Warna mere jeene ki dua kaun karega
Tute hue paimane mein jaam nahi aata
Ishq me mariz ko aaraam nahi aata
Aye dil todne wale tune ye to socha hota
Tuta hua dil kisike kaam nahi aata
Dil hi dil mein tumhe chahte hai
Dil hi dil mein tumhe pyar karte hai
Mushkil hai tumhaari raahon se guzarna
Phir bhi...har mod pe tumhara intezaar karte hai.
Yun to hum kisika peecha nahi karte
Darde dil diya aur liya nahi karte
Ye dil tujhpe aa gaya iss liye warna
Itni keemti cheez kisi ko diya nahi karte
Woh dhundte hai hazaar bahane hamein sataane ke
Par unhe kya pata ki unki khamoshi se badi saza kya hogi
Woh ek baar keh de to hum mar jaye
Ye baar baar marne se badi saza kya hogi
Dil e nadaan tujhe hua kya hai
Aakhir is dard ki dava kya hai
Humko unse thi wafa ki umeed
Jo Nahi jaante wafa kya hai
Pal bhar mein tut jaye woh kasam nahi
Mohabbat mein maar khaye woh hum nahi
Tum bewafa bano is baat mein dum nahi
Kyunki hamari wafa bhi kuch kam nahi
Tanhaion mein hum unko hi yaad karte hain
Wo salamat rahe yahi faryaad karte hai
Hum unhi ki shayari ka intezaar karte hai
Unko kya pata hum unse kitna pyar karte hai
Yaadein teri rakh di hai ab sambhalkar
Door kahin, is dil se nikal kar
Sab kucch vapas to le liya tumne, door jaakar
In yaadon ko bhi le jana tum kisi din aakar
Mitha sa dard dil mein utha tha abhi abhi,
Kya tumne yaad kiya tha abhi abhi,
Tujhse mile zamana hua fir bhi yu lage
Jaise tum mujhse milke gaye abhi abhi
Unko chaha bhi to izhaar karna na aaya,
Kat gayi umar sari hamein pyar karna na aaya,
Usne maanga bhi agar kuch to judaai maangi,
Aur hamein inkaar bhi karna na aaya.
Mohabbat ke bhi kuch andaaz hote hain,
Khuli aankhon mein bhi kuch khwab hote hain,
Zaroori nahin ki gum mein aansu nikle,
Muskurati aankhon mein bhi sailaab hote heh
Shaam udas hai raat bhi udas hogi,
Subah mein lipti meri laash hogi,
Ae mujhe dafnane wale jaakar unse keh dena,
Kabar par bhi unki tasvir mere saath hogi
Jab bhi aapse milne ki takdir nazaar aai,
Mujhe pavon mein bandhi zanjir nazaar aai,
Teri yaad mein nikal pade aansu mere,
Har aansu mein teri tasvir nazaar aai
Talaash karo koi tumhe mil jayega,
Magar humari tareh tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazaar se tumhe dekh le,
Magar aankhein hamari kahan se layega
Aaj khushi ki koi badhai dega,
Nikla hai chaand to dikhaai dega,
Ae mohabbat karne walo dekh ke mohabbat karna,
Ek aansu bhi gira toh sunaai dega
I didn't know what
Missing a person meant..
Until You and I met
And apart we went..
Tumhe chahane wale kam na honge
Waqt ke saath shaayad hum na honge
Chahe kisi ko kitna bhi pyaar karna
Lekin, teri yaadon ke huqdar hum hi honge
Har subah ki dhund kuch yaad dilati hai
Har phool ki khushboo ek jadoo jagati hai
Chaho na chaho jitna bhi,
Aapki yaad dilati hai
Yeh subah aapko mubarak ho
Aasuon ko aankhon hi dehleez pe na laaya karo
Apne dil ki aahat kisi ko bataya na karo
Log mutthi bhar namakh liye ghoom rahe hai
Apne zakhm kisi ko dikhaya na karo
Youn to dil ke paas kaafi naam hai
Par ek naam hai jisse dil dhadakta hai
No comments:
Post a Comment